Long live the Islamic Republic of Pakistan! Alhamdulillah!
Pakistan defeated India in 3 wars and in countless battles! Alhamdulillah!
___________________________________
Mere Aziz Humwatno, Asalam o Aalaikum.
10 Caror Pakistanio ke imtehan ka waqt aan pohancha hai
Aaj subha savere hindustan ki faujon ne Pakistan ke ilaqay par Lahore ki janib sae hamla kia
Aur Bharati Hawaii Bairay ne wazir-a-bad ki eik musafir gari ko apne buzdilana hamle ka nishana banaya
Bharti Hukamraan Shoron sae Paksitan ke wajood sae nafrat karte rahay hain
Aur Musalmano ki elehda Azaad Mumlikat ki unhoon ne kabhi *in audible* kia
Is liye har *in audible* sae yeh Pakistan ke khilaf Jangi tayyarian Karte rahay hain.
Pakistan ke 10 caror ki awaam jin ke dil mai “la ilaha ilAllah Muhammadur RasoolAllah” ki sada goonj rahi hai is waqt tak chain sae nahi baithain gay jab tak dushman ki topain hamisha ke liye khamoosh na hoe jaien.
Hindustani Hukamraan Shayed Abhi yeh nahi jantay ke unhoon ne kis qaum ko lalkara hai
Hamaray dilon mai imaan aur yaqeen *in audible* aur humain yeh maloom hai ke hum sachhai ki jang larh rahay hain.
Mulk mai aaj hangami soorat-e-haal ka elaan kar dia giya hai
Jang Shoro hoe chuki hai
Dushman ko fanaa karne ke liye hamaray bahadur faujion ki paish qadmi jari hai
Allah Ta’aala ne Pakistan ki mussallah faujon ko apne Johar dekhane ka moqa dia hai
Mere Hum watno, aagay barho aur dushman ka muqabla karo
Khuda Tumhara Hami Aur Nasir Hoe, Ameen
Pakistan Paienda Baad
Duration : 0:1:40